kisne ye jaana hai kitna purana 
jaata kaha ye silsila 
phir se na aana hai ye kitna suhana 
pal ye jo hamko hai mila 
is pal aao khud ko jaan le 
pechan le aao dekhe jeevan ke rang sabhi 
bhule naa biti joti bahto jane do sahi 
kya hai tera mantra 
hai jeet kya hai haar kya 
gham or khushi ke paar kya 
hai week ke aasar kya 
toofan ke majdhaar kya 
hai badlo ke paar kya 
koi or bhi sansar kya 
bas ye jan lo hai pyar kya 
hai ye mera mantra 
dekho pukare thame nabh ke sitare 
paani faelaye aasma 
bahti hawaye tumhe kaheti fizaye 
dekho thame na karwa 
lekar chal yaade kal ki 
karta chal tu waade kal ke 
is pal me tere kadmo ke hai nishan 
dekhenge aane wale manzil ko pane wale 
puchenge chahne wale kya hai tera mantra 
mehnat bhi hai himat bhi hai 
thodi si ha kismat bhi hai 
aankho me hai kuch khawb bhi 
seene main kuch hasrat bhi hai 
hai saas ka aadhar kya 
aur zindagi ka saar kya 
bas jaanlo hai pyar kya 
hai ye mera mantra 
aao naa socho naa dil se mita do 
sab fasle sarhad na mazhab na 
ham sab rahe ho ek ang me ek ang me 
tera hai apna kya tera paraya kya 
teri hai aasha kya tera hai jeevan kya 
tera hai sapna kya tera hai ishwar kya 
teri hai masa kya kya hai tera mantra 
hai saas ka aadhar kya aur zindagi ka saar kya 
bas jaanlo hai pyar kya 
hai ye mera mantra 
hai jeet kya hai haar kya 
gham or khushi ke paar kya 
hai week ke aasar kya 
toofan ke majdhaar kya 
hai badlo ke paar kya 
koi or bhi sansar kya 
bas ye jan lo hai pyar kya 
hai ye mera mantra