ye kaha leke aayi hai khwahishe
dhadkane bekhudi me jaane kya kahe
hua kya hai tujhe aye mere man baawre
bebasi me jaane na tu ye kya kare
aye manwa behrupiya tu na jaane ye kya kar diya

ek dor koi khinche khwabo ke piche piche
kehna kisi ka maane naa

apni kismat ko khud hi badal de
mukti ke iss path par tu khud hi chal de
sapne tere kabhi na honge adhoore
tere iraade bhi ab honge poore
janam maran ke dhago se ab to tu aise bandh jayega
rooh ka parinda udke phir se iss dharti par aayega
aye manwa behrupiya tu na jaane ye kya kar diya
aye manwa behrupiya tu na jaane ye kya kar diya
saanse behakti hai mere seene me
aane laga hai mujhko maza ab jeene me
paas pahuchna hai taaro ke
pankh laga ke armaano ke tu udta hi jaaye
aye manwa behrupiya tu na jaane ye kya kar diya
aye manwa behrupiya tu na jaane ye kya kar diya
o zindagi ye jab bhi afsaane naye banati hai
ashqo ke katro ko bhi moti sa chamkaati hai
mit jaate hai faasle paas jab ye bulaati hai
lamho ko dhundh rahe the khud chal kar aa jaate hai
pal bhar me khushiyo ki ye kaisi saugaat hai
ubhar gaye do gaalo pe rang hai ya jazbaat hai
kyun aise mann ma