har shama ne dekha hai ab tak
parwane ko mehfil me aate
ek hum hai jo humne dekha hai
parwane ko mehfil se jate
parwano ki sohbat me rahkar
unka hi asar to aayega
har shay me tujhe pireh shama
parwana nazar to aayega
ek to sari umar jalo
mehfil me bano phir afsana
ek baar he jal ke mit jate
ae kash jo hote parwane
shmma ho ya chahe parwana
dono ka hai maksad jal jana
tum apne man ki baat kaho
chhodo kisso me uljhana
marzi hai tumhari tum humse narfrat karo chahe
chahe pyar karo
marzi hai tumhari tum humse narfrat karo chahe
chahe pyar karo
daldal main kamal bhi khilta hai
is baat se mat inkar
inkar karo, marzi hai tumhari
o, kuch phul wo bhi hai jo sajte hai devta pe
aur kuch khilne se pahle rah jate hai murjha ke
kuch phul wo bhi hai jo sajte hai devta pe
aur kuch khilne se pahle rah jate hai murjha ke
o, kahne ko kuch bhi kah lo
o, kahne ko kuch bhi kah lo
yu maaro nahi taane ye sach hai diwane
koi ye chahe mane na mane
dekho ye apni apni kismat hai
phir humse nahi takrar
takrar karo marzi hai tumhari
o, kismat se kiska hua hai yaha par guzara
chhodo kismat ka sahara dhundo kahi khud kinara
kismat se kiska hua hai yaha guzara
chhodo kismat ka sahara dhundo kahi khud kinara
o, chahe jo ab tum samjho
o, chahe jo ab tum samjho
na hote to sahare to zindagi ye pyare
batao koi kaise guzare
ummed par ye duniya kayam hai
itna to magar ikrar, ikrar karo
marzi hai tumhari tum humse narfrat karo
chahe chahe pyar karo, marzi hai tumhari
FILM: "mere bhaiya" - 1972.
Film cast: Vijay Arora, Nazima, Suresh Chatwal, Bipin Gupta, Durga Khote
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Yogesh
Music Director: Salil Chowdhary
Film Director: Satyen Bose
Film Producer: Tarachand Barjatya