mausam bhi yaar hai
gulshan gharbaar hai
barkha ka saath hai
aisi saugaath hai
ab jaaye kab jaaye kaise bolo
jinke saath dil lagta hai
unke saath ho lo
jaana kahan tha humko
kahan hum chal diye
chhoti chhoti hasraton mein
hum dhul mil gaye
soch ke kya nikle the
ye kya hum kar gaye
jo kahte wo nahi karte na inme rah gaye
rab ye jaane ab kya hoga
rasta hai mushkil
kis chaurahe pe khade hai yaar
kitne armaan hai, kaise anjaam hai
barson ka kaam hai, lamhon pe naam hai
der se aaye jaise aaye bolo
jinke saath dil lagta hai
unke saath ho lo, mitti ka bartan ho
bartan mein ho sona
sone ke bartan mein
mitti aisa nahi hona
aasmaan agar chhat hai, ye dharti bichhona
ambar ko de saaya kaun, dharti ka kya kona
rab ye jaane kaisa hota, kahna hai mushkil
hai us paar bhi gharbaar yaar
chehra hijaab hai, gehra jawaab hai
sach hai ya khwaab hai, sab ka hisaab hai
ab kaise sabko batlaye bolo
jinke saath dil lagta hai, unke saath ho lo