maut se pahle maasumo ki jaan bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya

ye jamin shayad thi kam uski hawas ke saamne

puchh lo usse ki ab wo aasma bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya
baarisho ke shahar me laayi hai daulat kheech kar

dekhte hai apna kaagaj ka makaan bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya
ji raha tha kal wo jin yaado ki khushbu odh kar
aaj un yaado ka har naamo nishaan bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya
chhod kar tanha khada hai jin kharidaaro ke beech

unko ab ujada hua dil ka jahaan bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya
is kadar uski chita ki lakadiya mahangi na thi

jinki tarah wo aashiya bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya
puchhta rahta hai ang jo is sulagti aag se

ek nasheman ke liye gulsita bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya
maut se pahle maasumo ki jaan bechega kya
aashiya apna jala ke ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya, ab dhua bechega kya
ab dhua bechega kya