mere mahbub mehfil me jo sare aam aa gaye
surahi jhuk gayi paimano ke salam aa gaye
aur phir mehfil me paimana jo laga jhumne
to jhumta hi jhumta chala gaya
mehfil me paimana jo laga jhumne
to jhumta hi jhumta chala gaya
sakhi ke gore hath laga chumne chumne chumne
to chumata hi chumata chala gaya
mehfil me paimana jo laga jhumne
to jhumta hi jhumta chala gaya
lagta hai sadgi me bhi hansi hansi
hota hai bat bat pe yakin yakin
lagta hai sadgi me bhi hansi hansi
hota hai bat bat pe yaki yaki
to hum khayal humsafar to hum nashi
mere mahbub sa koi nahi koi nahi koi nahi
mere mahbub ko jo bhi laga dekhne
to dekhta hi dekhta chala gaya
mere mahbub ko jo bhi laga dekhne
to dekhta hi dekhta chala gaya
mehfil me paimana jo laga jhumne
to jhumta hi jhumta chala gaya
niyat kya hai teri khub janti hu
irade ko tere sanam mai pehchanti hu
niyat kya hai teri khub janti hu
irade ko tere sanam mai pehchanti hu
matlab teri nazar ka janti hu
phir bhi mai isko manti hu manti hu
bato se teri dil jo laga sochne
to sochta hi sochta chala gaya
bato se teri dil jo laga sochne
to sochta hi sochta chala gaya
mehfil me paimana jo laga jhumne
to jhumta hi jhumta chala gaya
wo nazar baz ka dil ada aur naz ka dil
wo beniyaz ka dil ki har andaz ka dil
meri umang me har dang me
har bhang me har rang me o ho
ghataye janti hai hawaye janti hai
nigahe janti hai ye bahe janti hai
aankho me shararat hai shararat me nazakat hai
nazakat me adawat hai adawat me mohabbat hai
ye behisab aankhe ye nim khwab aankhe
ye purshbab aankhe ye benakab aankhe
idhar udhar yaha waha mera sanam gaya jaha
aankho me mai jo uski laga dubne
to dubta hi dubta chala gaya
aankho me mai jo uski laga dubne
to dubta hi dubta chala gaya
sakhi ke gore hath laga chumne chumne chumne
to chumata hi chumata chala gaya
mehfil me paimana jo laga jhumne
to jhumta hi jhumta chala gaya
to jhumta hi jhumta chala gaya