zindagi hai dhua to kya
bujh gayi har subah to kya
rutha mujhse khuda to kya
ho gaye hum juda to kya
faasle the hazaaro darmiyan
waqt ke the hazaaro imtehan
phir bhi ban ke nisha
tere hotho ke kisi kone mein
hansi ki tarah main mehfuz hu
teri aankhon ke chhipe dard mein
aansu ki tarah
main mehfuz hu, mehfuz hu
bewajah har wajah to kya
begunahi hai gunah to kya
beasar hai dua to kya
ho gaye hum juda to kya
raaz gahre hazaaro bepanah
lafz thehre hazaaro bezuba
phir bhi ban ke nisha
phir bhi ban ke nisha
tere hotho ke kisi kone mein
hansi ki tarah main mehfuz hu
tere gesu ke mude pannon pe
yaadon ki tarah
mehfuz hu teri aankhon mein
mehfuz hu teri yaadon mein
mehfuz hu teri baaton mein
mehfuz hu tere baalon mein
faasle the hazaaro darmiyaan
waqt ki thi hazaaro aandhiyan
phir bhi ban ke nishan ha
tere hothon ke kisi kone mein
hasi ki tarah main mehfuz hu
tere kaandhe ke chhipe til mein
vaadon ki tarah mehfuz hu
tere hothon ke kisi kone mein
hasi ki tarah main mehfuz hu
teri aankhon ke chhipe dard mein
aansu ki tarah
i think this song deserves some more views and likes