bahut hasin hai duniya meri nigaho me
jo bas chale to luta du mai dil ko raho me
kyu bhai kis liye is liye
mera dil aashiqana hai
mera dil aashiqana hai
haye mera dil aashiqana hai
kabhi is par nisar kabhi us par nisar
ye to zalim diwana hai
mera dil aashiqana hai
haye mera dil aashiqana hai
ye to jhuta fasana hai
haye ye to jhuta fasana hai
kabhi itna garur nahi karna hajur
bada najuk zamana hai
ye to jhuta fasana hai
haye mera dil aashiqana hai
ye chahta hu mulakat ho hsino se
isiliye to ulahhta hu mahjabino se
mai tu husn ka parwana hu
hosh me rah ke bhi diwana hu
sirf itni hai hakikat meri
ek rangin sa afsana hu
jo bhi nazre milaye kabhi bachkar na jaye
mera aisa nishana hai mera dil aashiqana hai
haye ye to jhuta fasana hai
jale jo sama to parwane uspe girte hai
tumhare jaise jaha me hajar phirte hai
pyar kya chij hai tum kya jano
pahle khud ko to zara pahchano
tumse ek bat kahe dete hai
chahe mano ya ise na mano
ek se dil lagao use apna banao
bura sabko satana hai ye to jhuta fasana hai
haye mera dil aashiqana hai
sikha de koi pyar to mujhe karam hoga
jo pyar sikh gaye tum bada sitam hoga
zindagi meri sambhal jayegi
pyar ki aag me jal jayegi
aur agar ye bhi gawara ho mujhe
phir to duniya hi badal jayegi
koi dil to lagaye pyar karke dikhaye
ab to ye aajmana hai mera dil aashiqana hai
haye mera dil aashiqana hai
kabhi itna garur nahi karna hajur
bada najuk zamana hai ye to jhuta fasana hai
haye mera dil aashiqana hai ye to jhuta fasana hai
haye mera dil aashiqana hai
FILM: "PYAR KIYA TO DARNA KYA" = 1963.
Film cast: Shammi Kapoor, B Saroja Devi, Pran, Kapoor, Om Parkesh,
Prithviraj Kapoor
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Director: Ravi
Film Director: B S Ranga