mera ghoda bada, hain nigoda
mera ghoda bada, hain nigoda
kadam kadam par, ad ad jaaye
nahi age badhe
chahe maaru main kode pe koda
mera ghoda
mera ghoda bada hain nigoda
ek din ek tamtam dikhai padi
aankh ghode ki ghodi se jaake ladi
jaake aakhir ye, tamtam se takra gaya
jaake aakhir ye, tamtam se takra gaya
isne tanga bhi mera toda
mera ghoda
mera ghoda bada hain nigoda
maine mara to, ye hinhinane laga
maine mara to, ye hinhinane laga
aur aankho se aasu bahane laga
fir ye gaane laga kya
duniya me sab daude daude
duniya me sab daude daude
maula mera mila de joda
joda joda are joda
baad me iski halat bigadne lagi
ek din saans iski ukhdne lagi
doctor ne ise dekhte hi kaha
doctor ne ise dekhte hi kaha
iske dil me
iske dil me huaa hain foda
foda foda foda
dekha doctor ne fode ko jab cheer ke
tukde nikale the, tukde nikale the
ghodi ki tasveer ke
fode me ghodi nu photo, ka tukde nikle chhe
dekha doctor ne fode, ko jab cheer ke
tukde nikale the, ghodi ki tasveer ke
hawa paani badlne ki khatir chala
hawa paani badlne ki khatir chala
main leke ise almoda almoda
mera ghoda bada hain nigoda