Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.60 - 15 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Mera Paigaam Mohabbat Ke Siva - मेरा पैगाम मोहब्बत के सिवा
aaj kuch kehana hai mujhko jo ijajat hogi
baat chhoti si hai sun lo toh inaayat hogi
aa aa aa aa

mera paigaam mera paigaam
paigaam paigaam
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
zindagi pyar ki raahat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi

ek bimaar-e-mohabbat se yeh puchha maine
ek bimaar-e-mohabbat se yeh puchha maine
ishq mein tune yeh kya haal bana rakha hai
woh tare yaar ki chilman ko dikhakar bola
mere mehbub ko mere mehbub ko
parado mein chhupa rakha hai
kya zamane mein kya zamane mein
adaavat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi

bewajah duniya ne nindon mein khalal daal diye
bewajah duniya ne nindon mein khalal daal diye
chahne walo ne jab khwab sunhere dekhe
dekhne walo ne in pyar ki raaho mein sada
ya toh deewarein ya toh deewarein
hi dekhi hai ya pehare dekhe
yeh mohabbat hai ji hai ji ha
yeh mohabbat toh ibaadat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi

yeh bhi dastur mohabbat ka nirala dekha
yeh bhi dastur mohabbat ka nirala dekha
ek pardo mein jale dusra baazaro mein
iss tarah tanaha tadapne se toh acha hoga
jinda chunva de koi jinda chunva de koi
dono ko deewaron mein
ishq mein maut bhi aji ha ishq mein maut bhi
raahat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
zindagi pyar ki raahat ke siva kuch bhi nahi haye
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
lyrics of song Mera Paigaam Mohabbat Ke Siva
Comments on song "Mera Paigaam Mohabbat Ke Siva"
khushy100 on Tuesday, March 30, 2010
kya wo waqat tha jab saz o shehr mein itna sarur tha. kahan gae wo log jo intaha
dard naak shehri likhte the aur saz banane wale aur sab se upar jo gulukar
mohammed rafi sahib, kahan hain wo?
yeh geet shahir Rajinder Krishan Sahib aur saz Madan Mohan Sahib ne likhe. Shukriya bahut. Khushy 100
asim306 on Friday, December 18, 2009
Me just feelike to see MOHD RAFI aur sari zindagi unki awaz sunta rahoon-
Hayeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee-

thanx 4 share
Lalitha Singh on Sunday, March 16, 2014
this voice of rafi sahab is eternal never get tired of listening to his
songs simply awesome rafi sada bahar
Shamnad Sirajudeen on Monday, April 28, 2014
Mera paigham muhabat ke siwa kuch bhi nahi..
Zindagi pyaar ki raahat ke siwa kuch bhi nahi...!
Shalin Bhatt on Monday, May 04, 2015
Is this a jhankaar version? If so, is there a regular version?
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Madan Mohan - Tere Bagair (2009)
Lata Mangeshkar, Asha Bhosle, Brij Bhushan, Mohammed Rafi
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type