mere mehbub na ja, na ja, na ja
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
hone wali hai sahar, thodi der aur thehar
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
hone wali hai sahar, thodi der aur thahar
mere mehbub na ja
dekh kitna hasin mausam hai
har taraf ek ajib aalam hai
jare iss tarah aaj nikhare hain
jaise taare jamin pe bikhare hain
jaise taare jamin pe bikhare hain
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
aa aa
maine kaate hain intjaar ke din
tab kahi aaye hain bahaar ke din
yu na ja dil ki shama gul kar ke
abhi dekha nahi hai jee bhar ke
abhi dekha nahi hai jee bhar ke
mere mehbub na ja
jabse julfo ki chhanv payi hai
bekarari ko nind aayi hai
iss qayamat ko yuhi sone de
raat dhalne de subah hone de
raat dhalne de subah hone de
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
iss tarah pher kar najar mujhse
dur jayega tu agar mujhse
chandni se bhi aag barsegi
shama bhi roshni ko tarsegi
shama bhi roshni ko tarsegi
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
dhadkano me yahi tarane hain
tere rukane ke sau bahane hain
mere dil ki zara sada sun le
pyasi najaro ki iltaza sun le
pyasi najaro ki iltaza sun le
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
hone wali hai sahar, thodi der aur thahar
mere mehbub na ja, aaj ki raat na ja
hone wali hai sahar, thodi der aur thahar
mere mehbub na ja
Even today this song gives me the goosebumps
(after maybe 40 yrs).