mere mehbub tere pyaar pe mera haq hain
mere mehbub tere pyaar pe mera haq hain
teri parvaaz ki had ka to pata hain mujhko
arsh chune ki meri jaan tamanna hain mujhe
tu samjhta hain mohabbat ko kafas ki surat
ya mohabbat ko mahaj ek bhram maanta hai
mere mehbub, mere mehbub
wo bhi din the ki
mohabbat hi thi manjil teri
sirf main hi tha tere waste raahe manjil
teri maangi hui har ek duaa ki tasir
kaun hain mere siva teri darkshan takdir
baraahaa socha hain wo duar kabhi aayega
jab sukun payega tu, aake meri bahon me
aaj bhi palken bichhaye hun teri rahon me
kya tujhe meri mohabbat pe yakin hain ab bhi
mere mehbub, mere mehbub
ha main vakif hun tere jehen ki har uljhan se
tu musafir hain abhi tak usi do rahe ka
faisala karna bhi aasan nahi hai hamdam
ek taraf rahevafa, ek taraf tere junun
tu nahi jaanta ab tak teri manjil kya hain
haasilen jist hain kya, ishq ka hasil kya hain
mujhko bas itna hi kahna hain
jara gaur se sun
pyaar ki raah se hokar hi milegi manzil
main ajal se hun tere vaaste hain jaanejahaa
meri dhadakan meri har saans pe tera haq hain
chahe tu maan ki mat maan haqikat hain yahi
mere mehbub tere pyaar pe mera haq hain
mere mehbub tere pyaar pe mera haq hain
mere mehbub, mere mehbub
Mere Mehboob
Mere mehboob tere pyar pe mera haq hai………
Teri parvaaz (Flight) kee hud kaa to pataa hai mujhko
Arsh (Sky) chhune kee meri jaan tamanna hai tujhe
Tu samajhta hai mohobbat ko qafas (Cage) kee surat
Ya mohobbat ko mehaz (Mere) ek bharam manataa hai?
Wo bhi din the ke mohobbat hee thee manzil teri
Sirf mai’n hee thee tere waste raah-e-manzil
Teri maangi hui har ek dua kee taasir
Kaun hai mere siwa teri daraksha’n (Bright) taqdeer
Baarhaa (Often) socha hai wo daur kabhi aayega?
Jab sukoo’n paayega tu aa-ke meri baaho’n mei’n
Aaj bhi palke’n bichhaye hoo’n teri raaho’n mei’n
Kya tujhe meri mohobbat pe yaki’n hai ab bhee?
Haa’n mai’n waqif (Familiar) hoo’n tere zehan kee har uljhan se
Tu musafir hai abhi tak usi doraahe ka
Faisla karna bhi aasaan nahi’n hai humdum
Ik taraf raah-e-wafa ek taraf tera jonoo’n
Tu nahi’n jaanta ab tak teri manzil kya hai
Haasil-e-zeest (Gains of life) hai kya ishq ka haasil kya hai
Mujhko bus itnaa hee kehna hai, zaraa gaur se sun
Pyar ki raah se ho kar hee milegee manzil!
Mai’n azal se hoo’n tere waste ai jaan-e-jahaa’n
Meri dharkan meri har saa’ns pe tera haq hai
Chaahe tu maan ke mut maan haqeeqat hai yahee
Mere mehboob tere pyar pe mera haq hai!
Meeta