mere mehbub tere pyaar pe mera haq hai
mere mehbub tere pyaar pe mera haq hai
teri parvaaz ki had ka to pata hai mujhko
arsh chune ki meri jaan tamanna hai mujhe
tu samjhta hai mohabbat ko kafas ki surat
ya mohabbat ko mahaj ek bhram maanta hai
mere mehbub mere mehbub
wo bhi din the ki
mohabbat hi thi manjil teri
sirf main hi tha tere waste raahe manjil
teri maangi hui har ek duaa ki tasir
kaun hain mere siva teri darkshan takdir
baraahaa socha hai wo duar kabhi aayega
jab sukun payega tu aake meri baho me
aaj bhi palke bichhaye hu teri raho me
kya tujhe meri mohabbat pe yakin hai ab bhi
mere mehbub mere mehbub
ha main vakif hun tere jehen ki har uljhan se
tu musafir hain abhi tak usi do rahe ka
faisala karna bhi aasan nahi hai hamdam
ek taraf rahe vafa ek taraf tere junun
tu nahi jaanta ab tak teri manjil kya hai
haasile jist hai kya ishq ka hasil kya hai
mujhko bas itna hi kahna hai jara gaur se sun
pyaar ki raah se hokar hi milegi manzil
main ajal se hun tere vaaste hain jaanejahaa
meri dhadakan meri har saans pe tera haq hai
chahe tu maan ki mat maan haqikat hain yahi
mere mehbub tere pyaar pe mera haq hai
mere mehbub tere pyaar pe mera haq hai
mere mehbub mere mehbub