Lyrics of Mere Mehboob Tujhe, Meri Mohabbat Ki Kasam - मेरे महबूब तुझे, मेरी मोहब्बत की क़सम
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
phir mujhe nargisi aankhon ka sahara de de
mera khoya hua rangin nazara de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
ae mere khwab ki tabir, meri jaan-e-ghazal
zindagi meri tujhe yaad kiye jati hai
raat din mujhko satata hai tassawwur tera
dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jati hai
aa mujhe apni sadaao ka sahara de de
mera khoya hua rangin nazara de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
bhul sakti nahi aankhe wo suhana manzar
jab tera husn mere ishq se takraya tha
aur phir raah me bikhre the hazaro nagme
mai wo nagme teri aawaaz ko de aaya tha
saaz-e-dil ko unhi geeto ka sahara de de
mera khoya hua rangin nazara de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
yaad hai mujh ko meri umr ki pehli wo ghadi
teri aankho se koi jaam piya tha maine
meri rag rag me koi barq si lehrayi thi
jab tere marmari hatho ko chhua tha maine
aa mujhe phir unhi hatho ka sahara de de
mera khoya hua rangin nazara de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
maine ek baar teri ek jhalak dekhi hai
meri hasrat hai ke mai phir tera deedar karu
tere saye ko samajhkar mai hasin tajmahal
chandni raat me nazro se tujhe pyar karu
apni mehki huyi zulfo ka sahara de de
mera khoya hua rangin nazara de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
dhundhta hu tujhe har raah me har mehfil me
thak gaye hai meri majboor tamanna ke kadam
aaj ka din meri umeed ka hai aakhri din
kal na jane mai kaha aur kaha tu ho sanam
do ghadi apni nigaho ka sahara de de
mera khoya hua rangin nazara de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
samne aake zara parda uthha de rukh se
ek yahi mera ilaaj-e-gham-e-tanhayi hai
teri furkat ne pareshan kiya hai mujh ko
ab to mil ja ke meri jaan pe ban aayi hai
dil ko bhuli hui yaado ka sahara de de
mera khoya hua rangin nazara de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
mere mehboob tujhe
tujey naghmon ki jaan ahl-e-nazar yoonhi nahi kahtay
tere geeton ko dil ka hamsafar yonhi nahi kahtay
dukhi thay laaakh...phir bhi mutamaain thay dard k mare
teri awaz ki shabnam say dhul jatay thay gham saray
teri taanon maen husn-e-zindagi leta tha angrai
tujhe Allah nay bakhsa tha andaz-e-maseehai
toohi tha pyar ka ik saaz is nafrat ki dunya maen
ghaneemat thi teri awaz is nafrat ki dunya maen
mehaflon k damnaon maen
sahiloon k aas paas
yeh sada gonjay gi
sadyon tak dilon k aas paas
(tribute by great naushad sahab to great rafi sahab)