mere paas hai aur na kuch logo
bas aankh me aasu laya hu
na pita ke bina apni mata ki chita jala kar aaya hu
jwala se ghiri jab meri maa
bhagwan ke ghar ko jati thi
tab tadap tadap aatma uski
beta beta chillati thi beta beta chillati thi
kisi se ab mera rishta na koi nata hai
ab to shamshan ki mati hi meri mata hai
kisi se ab mera rishta na koi nata hai
ab to shamshan ki mati hi meri mata hai
sunne walo suno kahani meri
ho gayi khatam jindgani meri
dhul marghat ki leke hatho me
ab to baitha hu mai anatho me
dhul marghat ki leke hatho me
ab to baitha hu mai anatho me
haye mata ko mai bacha na saka
apne bapu se mai mila na saka
haye mata ko mai bacha na saka
apne bapu se mai mila na saka
uski arthi bhi wo utha na sake
uski arthi bhi wo utha na sake
char aasu bhi wo baha na sake
samay ne ye kya din dikhaya mujhe
kaisi manjil pe waqt laya mujhe
ek taraf hai mere anjan pita
ek taraf jal gayi mata ki chita
ek taraf hai mere anjan pita
ek taraf jal gayi mata ki chita
acha hota jo mai bhi mar jata
is dukhi jindagi se tar jata
acha hota jo mai bhi mar jata
is dukhi jindagi se tar jata
meri maa chal di or mai jinda hu
meri maa chal di or mai jinda hu
mai isi bat pe sharminda hu
aye meri maut bula le mujhko
aaj baho me uthale mujhko
aye meri maut bula le mujhko
aaj baho me uthale mujhko
sheer heavenly voice,meanigful lyrics dr.dilip