sunsaan jamana ka kinara pyar ka antim sahara 
chandani ka kafan odha so raha kismat ka mara 
kisse puchhu mein bhala ab dekha kahi mumtaz
meri bhi ek mumtaz thi meri bhi ek mumtaz thi 
patharon ki ot mein mahaki huyi 
tahaaiya kuch nahi kahti 
daliyon ki jhumti aur dolti 
parchhaiya kuch nahi kahti 
khelti sahil pe lahare le rahi 
angdaaiyan kuch nahi kahti
ye jan ke chup chap hai mere mukaddar ki tarah
humne to inke samne khola tha dil ke raaz ko 
kisse puchhu mein bhala ab dekha kahi mumtaz
meri bhi ek mumtaz thi meri bhi ek mumtaz thi 
ye zameen ki god mein kadamon ka 
dhundhala sa nishan khamosh hain
ye ruka pahla aasmaan madhyam 
sitaron ka jahan khamosh hain  
ye khubsurat raat ka khilta hua 
gulshan jawan khamosh hain 
ranginiya madhosh hai apni khushi mein dubkar 
kis tarah inko sunaau ab meri aawaz ko 
kisse puchhu mein bhala ab dekha kahi mumtaz
meri bhi ek mumtaz thi meri bhi ek mumtaz thi 
meri bhi ek mumtaz thi meri bhi ek mumtaz thi