meri laal gulaabi choli o meri laal gulaabi chori
mera joban khele holi ho mera joban khele holi
hai koi rangila aisa jo le jaaye meri doli

mat takara humse jaani ye mausam hai tufaani

aise mausam me dekho ho jaaye naa manmaani

meri chaal kayamat dhaayi bijali banke lahraayi

in julfo ki raaho me jo aaye vo kho jaaye
o ni kayamat waali bin phula di tu daali
ni kayamat waali bin phula di tu daali
teri bagiya sukhi hai le ja humse tu daali
mat takara humse jaani ye mausam hai tufaani
o mat takra humse jaani ye mausam hai tufaani
aise mausam me dekho ho jaaye naa manmaani
meri laal gulaabi choli o meri laal gulaabi chori
o mere aanchal me angaare mere pichhe chaand sitaare
mere aanchal me angaare mere pichhe chaand sitaare
meri chadhati jawaani jaise chalti nadiya ki dhaare
o mat uda hawaa me aanchal armaan machal jaayenge

seesha jo gira patthar pe imaan badal jaayenge
meri laal gulaabi choli o meri laal gulaabi chori
mera joban khele holi ho mera joban khele holi
hai koi rangila aisa jo le jaaye meri doli
mat takara humse jaani ye mausam hai tufaani
o jaani
mai jaharili naagan hu dil waalo ki uljhan hu

daaman ko bachaaye rahna mai aur nahi dushman hu
o hum jahar ko pine waale naagan se kaha darte hai
hum jahar ko pine waale naagan se kaha darte hai
baaho me simat aati hai hum jispe najar karte hai
mat takara humse jaani ye mausam hai tufaani
o mat takra humse jaani ye mausam hai tufaani
aise mausam me dekho ho jaaye naa manmaani
mat takra humse jaani ye mausam hai tufaani
ho kudiyo