meri tanhai ko shahnai ka paigam na do
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
meri tanhai ko shahnai ka paigam na do
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
mere daman ko daagdar kiya hai jisne
wahi duniya ye khushi dekhke jal sakti hai
meri ruswayi
ye aag jisme ke tum khud jale hi jate ho
ye aag ek ujale me badal bhi sakti hai
ye jami jispe lage hai abhi ruswayi ke daag
ye jami ek shivale me badal sakti hai
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
meri tanhai ko shahnai ka paigam na do
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
meri ruswai
humne insaniyat ka sath diya hai hardam
hum kisi tarah gunaho ke tarafdar nahi
phir bhi har dil me koi dub ke dekhe to zara
kaun hai duniya me aisa jo gunahgar nahi
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
meri tanhai ko shahnai ka paigam na do
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
meri ruswai
jo pachhtap ke ashqo se paak ho na sake
itna daman to kisi ka bhi daagdar nahi
sacche dil se koi insan jo tauba kar le
to gunahgar bhi hoke wo gunahgar nahi
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
meri tanhai ko shahnai ka paigam na do
meri ruswai tumhe bhi to nigal sakti hai
meri ruswai