meri zindagi hai zaalim
meri zindagi hai zaalim
tere gam se aashkara
tera gam hai dar haqiqat
mujhe zindagi se pyara
meri zindagi hai zaalim
wo agar bura na maane
to jahaan-e-rang o buu me
wo agar bura na maane
to jahaan-e-rang o buu me
main sukun-e-dil ki khaatir
main sukun e dil ki khaatir
koi dhundh lun sahara
meri zindagi hai zaalim
ye khunaq khunaq hawaye
ye jhuki jhuki ghataye
ye khunaq khunaq hawaye
ye jhuki jhuki ghataye
wo nazar bhi kya nazar hai
wo nazar bhi kya nazar hai
jo samajh na le ishara
meri zindagi hai zaalim
mujhe aa gaya yakin sa
ke yahi hai meri manzil
mujhe aa gaya yakin sa
ke yahi hai meri manzil
sare raah jab kisi ne
sare raah jab kisi ne
mujhe daftun pukara
meri zindagi hai zaalim
koi aye shakil puchhe
ye junun nahin to kya hai
koi aye shakil puchhe
ye junun nahin to kya hai
ke usi ke ho gaye ham
ke usi ke ho gaye ham
jo na ho saka hamara
meri zindagi hai zaalim
tere gam se aashkara
tera gam hai dar haqiqat
mujhe zindagi se pyara
meri zindagi hai zaalim.
Koi aye shakeel poochey, yeh junoon nahi to kya hai ; ke usi ke hogayee ham
jo na ho saka hamara...what a beutiful xpression... sums up an entire
tragedy engulfing the life...hats off to shakeel & peenaz.