mile dil se jo dil, gaye phool se khil
mile dil se jo dil, gaye phool se khil
kisko khabar raat ki, kis waqt sahar hogi
aaj ki ye raat mohabbat me basar hogi
mulaakat huyi, koi baat huyi
mulaakat huyi, koi baat huyi
ab naa koi dushmane jaan idhar aaye
door talak chhaye huye, julf ke hi saaye mile
mili aisi najar, hua dil pe asar
mili aisi najar, hua dil pe asar
kuch aise mile aaj gale, naach utha aaj viraana
lo shaam dhali shamma jali, aake gira parwaana
mili ishq se jawaani kahe raat ye suhaani
huyi aisi meharbaani, mile pyaar ko rawaani
aisi baat chali, khili dil ki kali
nayi baat huyi koi khaas huyi
naa hi kabhi khatm, ye chaahat ka safar hoga
dono taraf dil me mohabbat ka asar hoga
dheere dheere dil ne dil se kya kaha
dheere dheere dil ne dil se kya kaha
ae chaand hame dekhke baadal me naa chhup jaana
hum jab bhi mile pyaar se to, tu bhi chale aana
koi baat hi naa maane, mili ishq se jawaani
ye hai husn ki kahaani, suno ishq ki jubaani
kahi jaana nahi, sada rahna yahi
yahi khaayi kasam juda honge naa hum
aag jali shola utha dekha naa kisi ne
pyaar se angadaayi li, aaj jindagi ne
dekho dekho dono hi hai bekhabar
dekho dekho dono hi hai bekhabar
naa mere siva tujhko kabhi koi najar dekhe
haa jisne mujhe dekh liya phir na kidhar dekhe
kaali julf ka ye ghera, dekho chaand sa ye chehara
nayi raat ka andhera lage itna kyun sunahara
koi raat hasin, hua dil ko yakin
hawa aisi chali nayi shamma jali
tum kya mile noor sa
pahlu me simat aaya
dil tha jise dhoondh raha aaj use paaya
mujhe lagta hai dar, ise kal ki khabar
mujhe lagta hai dar, ise kal ki khabar
jaanejigar dekh kabhi, dil ko naa tadapaana
yaad kare log sabhi pyaar ka afsaana
jaanam mere dil ka tu mehmaan hai
tujhpe kurbaan ab ye meri jaan hai
jaanam mere dil ka tu mehmaan hai
tujhpe kurbaan ab ye meri jaan hai
jaanam mere dil ka tu mehmaan hai
tujhpe kurbaan ab ye meri jaan hai
jaanam mere dil ka tu mehmaan hai