Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - More Angana Balam Ka
4.80 - 5 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of More Angana Balam Ka - मोरे अंगना बालम का
ho more aangna, ho more aangna
baalam ka murga bole
saajan ka murga bole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole

ho more aangna, ho more aangna
kukdoo kun ki taanen lagaa ke
kahe murgi se
dadbe pe aake ae ae
kahe murgi se
dadbe pe aake ae, kyaa
ho murgi mohe bangle ke baahar milna
ho murgi mohe bangle ke baahar milna
tohe biscuit khilaaun, tohe coco pilaaun
tohe biscuit khilaaun, tohe coco pilaaun
apne saahab ke sofe pe tujhko bithaaun
mohe bangle ke baahar milna
mohe bangle ke baahar milna
o ho ji mohe bangle ke baahar milna

ho more aangna, ho more aangna
baalam ka murga bole, saajan ka murga bole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole
ho more aangna, hoye ho aangna

thi khafa murgi us bewafa se
thi khafa murgi us bewafa se
boli apne paron ko phula ke
boli apne paron ko phula ke
kya, wo tera galiyon mein jaana
murgiyon se aankh ladaana
mujhse aankh chura kar jaana
ho mujhe yaad hai, mujhe yaad hai
ja tu na mera baalamwa
ja tu na mera baalamwa

ho more aangna, ho more aangna
baalam ka murga bole, saajan ka murga bole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole
ho more aangna, hoye ho aangna

murgi ithla ke chal di wahaan se
murgi ithla ke chal di wahaan se
bola murga ye panja badha ke ae
bola murga ye panja badha ke ae
kya, jaaogi jaane na dunga, main rasta rok lunga
jaaogi jaane na dunga, main rasta rok lunga
haan pyaari ke paiyaa pad jaaunga
ro ke kahunga
haan pyaari ke paiyaa pad jaaunga
ro ke kahunga
chonch dikha ke daana mera khaa ke
chali nahin jaana
ho chali nahin jaana
ho o chali nahin jaana

ho more aangna, ho more aangna
baalam ka murga bole, saajan ka murga bole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole
ho mori murgi ka nanha sa jiya dole
ho more aangna, hoye hoy aangna

murga bola kasam uski khaake
dil main laaya hoon, apna chhupaa ke
murgiyon ki nazar se bacha ke ae
murgiyon ki nazar se bacha ke ae
mere dil ki kothariya pe
mere dil ki kothariya pe
to-let ka board
murgi jaldi se taala lagaaye le
ho murgi jaldi se taala lagaaye le
ho zara jaldi se, jaldi se, jaldi se
lyrics of song More Angana Balam Ka
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Actress (1948)
Prem Abeed, Rehana, Meena, David, Mukri, Jamal AmrohiLata Mangeshkar, Geeta Dutt, Shamshad Begum, Mohammed RafiNakshab Jarchvi, Pyarelal Santoshi, Raja Mehdi Ali KhanShyam SundarNizam AmrohiActress at IMDB      Actress at YouTube     |    Actress at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type