muhabbat karne waala
muhabbat karne waala muft mein badnaam hota hai
muhabbat karne waala muft mein badnaam hota hai
ye bholi shakl waale kis kadar maasum hote hai
bade hi sidhe saadhe nek dil maalum hote hai
koyi surat nahi aisi ki chori inaki khul jaaye
agar iljaam bhi aaye to inpar kis tarah aaye
jabaan khaamosh rehati hai najar se kaam hota hai
muhabbat karnewaala, muhabbat karnewaala
muft mein badnaam hota hai
kare koyi bhare koyi, jara kanoon to dekho
samajh mein hi nahi aata hai kuch majmun toh dekho
khataye aapki lekin saja hum begunaahon ko
najar hum rokte hai aap bhi roko nigahon ko
ishare aap karte hain hamara naam hota hai
muhabbat karnewala, muhabbat karnewala
muft mein badnaam hota hai
jahaan par husn hota hai najar khud thaihar jaati hai
kadam yadon ka damtak saath chalkar laut aati hai
jara sa dekh lene par kayaamat sar pe aayi hai
aur hamane tumhe dekha toh isame kya buraayi hai
usko dekhte hai sab jo jalawa aam hota hai
muhabbat karne wala, muft mein badnaam hota hai
muhabbat karne wala, muft mein badnaam hota hai