nadiya behti hai tumse kehti hai
nadiya behti hai tums ekehti hai
sagar se mujhko milna nahi hai
sagar se milke main khaari ho jaungi
ho o ho o
nadiya behti hai tumse kehti hai
nadiya behti hai tums ekehti hai
sagar se mujhko milna nahi hai
sagar se milke main khaari ho jaungi
baandh lo mujhe rok lo mujhe
baandh lo mujhe rok lo mujhe
rok lo mujhe main tumhari ho jaungi
ho o ho o
nadiya behti hai tumse kehti hai
nadiya behti hai tumse kehti hai
naav to kya gaon beh jate hai
meri chaal mein aisi rawaani
baandh lo mujhko behek naa jaye
chanchal chanchal jawani sa pani
mere aanchal mein hai amrit wo
de de jo nayi zindagaani
mere aanchal mein hai amrit wo
de de jo nayi zindagaani
aangan aangan barsega kanchan
jaan se tumko main pyaari ho jaungi
nadiya behti hai tumse kehti hai
nadiya behti hai tumse kehti hai
ret jaha khet lehrayenge
jaagegi dharti ki mamta soi
pyar tumhe dungi bahar tumhe dungi
pyasa rahega na panghat koi
mera naam nisha phir hoga kaha
main jo samandar mein khoi
mera naam nisha phir hoga kaha
main jo samandar mein khoi
mujhe apna lo gaon mein bada lo
tumhari hi saari ki saari ho jaaungi
nadiya behti hai tumse kehti hai
nadiya behti hai tums ekehti hai
sagar se mujhko milna nahi hai
sagar se milke main khaari ho jaungi
baandh lo mujhe rok lo mujhe
baandh lo mujhe rok lo mujhe
rok lo mujhe main tumhari ho jaungi
ho o ho o
nadiya behti hai tumse kehti hai
nadiya behti hai tumse kehti hai