nahi rakhta dil mein kuch
rakhta hun zubaan par
samjhe na apne bhi kabhi
kah nahi sakta main kya
sahta hun chhupa kar
ek aisi aadat hai meri
sabhi to hain jinse milta hun
sahi jo hai inse kahta hun
jo samajhta hun, maine dekha na rang
dil aaya hai sirf adaa par
ek aisi chahat hai meri
bahaaro ke ghere se laaya main
dil sajaa kar, ek aisi sohbat hai meri
saaye mein chhaye rahta hun
aankein bichhaye rahta hun
jinse milta hun
kitno ko dekha hain hamne yaha
kuch sikha hain hamne unse naya
pahle fursat thi ab hasrate samakar
ek aisi uljhan hain meri
khud chalke rukta hun jahan jis jagah par
ek aisi sarhad hain meri
kahne se bhi main darta hun
apno ke dhun mein rahta hun
kar kya sakta hun, de sakta hun main
thoda pyar yahan par
jitni haisiyat hai meri
rah jaun sabke dil mein dil ko basakar
ek aisi niyat hain meri
ho jaye to bhi razi hun
kho jaau to main baaki hun
yun samajhta hun
raste na badle na badla jahan
phir kyun badalte kadam hain yaha
what a beautiful poetry... i love urdu.