nasha naa karo allah se tum daro
apni jaa se khelo nahi
ghar khud hi tumne toda tumne
jhoothe dosto ke liye
maa baap ko tumne chhoda
jiyenge ab wo kaise
kab tak yu dekhoge
vada ye karo aaj
jhoothe naate todoge
toote sapne jodoge
nasha naa karo allah se tum daro
apni jaa se khelo nahi
dekho kaisa ye sahar hai
kaise tumpe chhaya hai
tum bhi the seedhe saadhe
jo rango me kho gaye
dhokhe me jiwan ko jaise bhi laga lo
hoga waisa naa hoga ye dhokha naa hoga
nasha naa karo allah se tum daro
apni jaa se khelo nahi
ye dharti hai humse aur hum sabka
hai kaam roshan rakhe
ye jamin paak rahe ye jahan
ye to saari apni jang hai
ye to apni koshish hai
chahenge jeena jaise jee lenge hum waise
duniya hai har pal sath mil kar hum uthaye hath
wo din bhi dekhenge jang apni jeetenge
nasha naa karo allah se tum daro
apni jaa se khelo nahi