saajan humse mile bhi lekin
aise mile ke haye
jaise sukhe khet se baadal
bin barse ud jaye
thandi chandni ujla bistar bhigi bhigi rain
sabkuch hai par wo nahi
jinko taras gaye mere nain
naye kapde badal kar jaau kahan
naye kapde badal kar jaau kahan
aur baal banau kiske liye
naye kapde badal kar jaau kahan
aur baal banau kiske liye
wo shakhs to shehar hi chhod gaya
wo shakhs to shehar hi chhod gaya
main bahar jaau kiske liye
naye kapde badal kar jaau kahan
jis dhup ki dil me thandak thi
wo dhup usi ke sath gayi
jis dhup ki dil me thandak thi
wo dhup usi ke sath gayi
wo dhup usi ke sath gayi
ab shehar ki khali galiyo me
ab shehar ki khali galiyo me
main khaak udau kiske liye
wo shakhs to shehar hi chhod gaya
main bahar jaau kiske liye
naye kapde badal kar jaau kahan
jab tak wo tha to uske liye
auro se bhi milna padta tha
jab tak wo tha to uske liye
auro se bhi milna padta tha
auro se bhi milna padta tha
ab aise waise logo ke
ab aise waise logo ke
main naaz uthau kiske liye
wo shakhs to shehar hi chhod gaya
main bahar jaau kiske liye
naye kapde badal kar jaau kahan
muddat se koi aaya na gaya
sunsan padi hai ghar ki faza
muddat se koi aaya na gaya
sunsan padi hai ghar ki faza
sunsan padi hai ghar ki faza
in khali kamro me naasir
in khali kamro me naasir
ab shama jalau kiske liye
wo shakhs to shehar hi chhod gaya
main bahar jaau kiske liye
naye kapde badal kar jaau kahan
aur baal banau kiske liye
wo shakhs to shehar hi chhod gaya
main bahar jaau kiske liye
naye kapde badal kar jaau kahan
Naye kapray badal kar jaon kahan, jo khalil haider ne gaya hai kamal gaya
hai,