nayi umar ki kaliyo tumako dekh rahi duniya sari
tumape badi jimmedari
ghar ghar ko tum swarg banana
ghar ghar ko tum swarg banana, har aangan ko phulwari
hamape badi jimmedari, dekh rahi duniya sari
tum uss desh me janmi ho, jis desh me janmi thi sita

tum uss desh ki kanya ho, jis desh me gunj rahi gita
kabhi bhul kar bhi na lagana
kabhi bhul kar bhi na lagana, jivan me tum chinagari
ghar ghar ko tum swarg banana, har aangan ko phulwari
hamape badi jimmedari, dekh rahi duniya sari
yeh na bhulana jaha jaha hai phul waha hain kante bhi

jaha jaha par hote hain tufan, waha sannate bhi
tum iss jag me hans hans jina, mat karana mann ko bhari
ghar ghar ko tum swarg banana, har aangan ko phulwari
hamape badi jimmedari, dekh rahi duniya sari
dekho kahi bhatak mat jana jhuthe has vilaso me

karna aise kaam tumhara naam rahe itihaaso me
saavdhaan rahana bahano
saavdhaan rahana bahano, aa rahi tumhari bhi baari
ghar ghar ko tum swarg banana, har aangan ko phulwari
hamape badi jimmedari, dekh rahi duniya sari
hamape badi jimmedari, dekh rahi duniya sari
Film cast: Rajendra Kumar, Kamini Kadam, Ashwini, Sajjan, Prabhudayall
Radhakrishanan, Kusum Thakur
Singer: Asha Bhosle, Manna Dey, Aarti Mukherji
Lyricist: Kavi Pradeep
Music Director: C Ramachandra
Film Director: Mahesh Kaul