najar ne aisa mara, jigar hain para para 
magar fir bhi are jaalim tera hi naam lete hain
jamane bhar ke jhuthe, lagi dil ki na chhute 
kabhi najre jo milti hai, kaleja tham leten hain 
najar ne aisa mara 
tujhpe bharosa kiya, tu hi daga de gaya 
tujhpe bharosa kiya, tu hi daga de gaya 
pyar ke kasur ki ye kaisi saza de gaya 
gaye ham kaam se, fir badnaam se 
tere liye kya kya iljaam lete hain 
najar ne aisa mara, jigar hain para para 
magar fir bhi are jaalim tera hi naam lete hain
najar ne aisa mara
dil ka na sauda karo, ye to anmol hain 
dil ka na sauda karo, ye to anmol hain 
puchho dilwalo se hi, iska jo mol hain 
ek mithe bol pe, ankhiyo ke taul ke 
dene waale dil ko bedam dete hain 
najar ne aisa mara, jigar hain para para 
magar fir bhi are jaalim tera hi naam lete hain
najar ne aisa mara
jaane kya adaye liye, taaro bhari raat thi 
jaane kya adaye liye, taaro bhari raat thi 
hame tera hon pada koi aise bat thi 
jabse ye pyaar hain, dil bekraar hain 
ghadi ghadi aaho se kaam lete hain 
najar ne aisa mara, jigar hain para para 
magar fir bhi are jaalim tera hi naam lete hain
jamane bhar ke jhuthe, lagi dil ki na chhute 
kabhi najre jo milti hai, kaleja tham lete hain 
najar ne aisa mara
