nur ke saanche me bhagwaan ne dhala hai tujhe
aur insaan ne ji jaan se pala hai tujhe
jism ke chhute hi jajbaat sulag jaate hai
aag me daal ke jaise ki nikala hai tujhe
mujhko chhuna nahi
mujhko chhuna nahi hath jal jaayega
mujhko chhuna nahi hath jal jaayega
mujhko ae manchale tu laga na gale
mujhko ae manchale tu laga na gale
husn ki aag me ishq jal jaayega
mujhko chhuna nahi hath jal jaayega
mujhko chhuna nahi hath jal jaayega
husn diwaane se kehta hai, sambhalne ke liye
ishq taiyaar nahi raaye badlne ke liye
tu mohabbat ki hasin maut se mujhko na dara
paida parwana hua shamma pe jalne ke liye
jaaneman jid ki zanzeer ko tod de
dil ke tufaan ka rukh udhar mod de
jindgi ke tapedo se waakif hun main
meri kishti kinaare pe hi chhod de
maan ja besabr, tang jyada na kar
maan ja besabr, tang jyada na kar
pyaar kam bhi hua to bhi chal jaayega
mujhko chhuna nahi hath jal jaayega
mujhko chhuna nahi hath jal jaayega
jo bhi kamzarf hai, kam pyaar kiya karte hai
ahl-e-dil jaan talak vaar diya karte hai
pyaas bujhti nahi saahil pe khade rehne se
dub ke dariya me hum pani piya karte hai
teri inhi adaao pe marti hun main
teri chahat pe bhi naaz karti hun main
khud ko tere hawale to kar dun magar
soch kar uska anjaam darti hun main
ae sanam josh me le na aagosh me
ae sanam josh me le na aagosh me
aanch khaate hi shisha pighal jaayega
mujhko chhuna nahi