samandar, yeh dil ka sheher samandar
do kashtiyan thi tairti yahan ban ke humsafar
oh, kitna haseen dikhta tha woh ishq ka manzar
tabhi waqt ki ek aandhi uthi, aaya bavandar
khoya, mera pyaar khoya, khwaab khoya, nouka doobi re
tera-mera saath chhoota, phir bane hum ajnabi re
khoya, mera chaand khoya, chaandni ambar se tooti re

sheher samandar, yeh dil ka sheher samandar
do kashtiyan thi tairti yahan hoke bekhabar
oh, tu raat hi mein uljha tha, main ban gayi seher
tu saansein maangta tha aur main pee gayi zeher
khoya, mera pyaar khoya, khwaab khoya, nouka doobi re
tera-mera saath chhoota, phir bane hum ajnabi re
khoya, mera pyaar khoya, khwaab khoya, nouka doobi re
tera-mera saath chhoota, phir bane hum ajnabi re
nouka doobi re, ajnabi re
hum dono do kinaare, paas nahi hain
kaise keh dein hum juda hain? hum door nahi hain
ho, hum dono do kinaare, paas nahi hain
kaise keh dein hum juda hain? hum door nahi hain
parchhaiyan ban, door reh ke saath chalenge
kabhi aana tum khayalon mein, hum baatein karenge
khoya, mera pyaar khoya, khwaab khoya, nouka doobi re
tera-mera saath chhoota, phir bane hum ajnabi re
khoya, mera chaand khoya, chaandni ambar se tooti re
tera-mera saath chhoota, phir bane hum ajnabi re
nouka doobi re, ho
sheher samandar, yeh dil ka sheher samandar
do kashtiyan thi tairti yahan ban ke humsafar
kitna haseen dikhta tha woh ishq ka manzar

ajnabi re
ajnabi re