Lyrics of Nukta Cheen Hai Ghame Dil Usko Sunaaye Na Bane - नुक्ता चीन है ग़म ए दिल उसको सुनाये ना बने
nukta cheen hai gham e dil
usako sunaye na bane
usako sunaye na bane
kyaa bane baat jaha
baat banaye na bane
baat banaye na bane
nukta cheen hai gham e dil
gair phirata hai liye yu
tere khat ko ke agar
gair phirata hai liye yu
tere khat ko ke agar
koi puchhe ke ye kya hai to
chhupaye na bane to chhupaye na bane
nukta cheen hai gham e dil
mai bulata to hu usako
magar ae jazba-e-dil
mai bulata to hu usako
magar ae jazba-e-dil
us pe ban jaaye kuch
aisi ki bin aaye na bane
us pe ban jaaye kuch
aisi ki bin aaye na bane
us pe ban jaaye kuchh
aisi ki bin aaye na bane
nukta cheen hai gham e dil
ishq par zor nahi hai ye
wo aatish gaalib
ishq par zor nahi hai ye
wo aatish gaalib
ki lagaaye na lage aur
bujhaye na bane
nukta cheen hai gham e dil
usako sunaye na bane.