Lyrics of Nuktaachin Hai Gam E Dil Usako Sunaaye Na Bane (K L Saigal) - नुक्ताचीं है, ग़म-ए-दिल उसको सुनाये न बने
nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaan baat banaaye na bane
kya bane baat jahaan baat banaaye na bane
mai bulata to hu usko magar ai jazbaa-e-dil
mai bulata to hu usko magar ai jazbaa-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aisi
us pe ban jaaye kuchh aisi ki bin aaye na bane
us pe ban jaaye kuchh aisi ki bin aaye na bane
nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye
bojh wo sar pe gira
bojh wo sar se gira hai, ki uthaaye na uthe
kaam wo aan pada hai ke banaaye na bane
kaam wo aan pada hai ke banaaye na bane
nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye
ishq par zor nahi
ishq par zor nahi hai ye vo aatish gaalib
ke lagaaye na lage
ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye
Many thanks to Kpm5866, for giving us this unique and extraordinary ghazal from the most loved and greatest Urdu poet/shair Mirza Assadullah Khan Ghalib, no match to his genious YET.
Hope to hear more about those classical Indian poets.