o badra man ki muraad sa tu barsa
o badra man ki muraad sa tu barsa
ki aadmi kahi rah na jaye tarsa
o badra man ki muraad sa tu barsa
agar jaanta ek bund ko matha patak marenge
man jhulsenge bachche inke anaath ho bhatkenge
tuta futa shesh liye wo, bebas dujhe desh jiye
hontho pe koi savaal nahi, jaise dharti ke laal nahi
jaane ho to sach kahna, fir bhi kyun barse o badra
kisaki khaatir, kisaki khaatir
kisaki khaatir amrit sa ru barse hai re, o badra
raaja khudvata hain waaw, malo dale wahaa padaaw
raaja khudvata hain waaw, malo dale wahaa padaaw
mile mutthi bhar jwaar aur baajari
aaye raat aur prbhaat, tute kamar samay ke saath
he aaye raat aur prbhaat, tute kamar samay ke saath
mile mutthi bhar jwaar aur baajari
baras baras bahta gaya, aur jivo huaa jawaan
naak naksh kaathi mili, usko kunvar samaan
sahte jaate sab aaghaat, ye hain majduro ki baat
sahte jaate sab aaghaat, ye hain majduro ki baat
mile mutthi bhar jwaar aur baajari
he mile mutthi bhar jwaar aur baajari
de jo andher nagri me acharaj dikhaai
to bhi dekho jara bhaai, sab dekho jara bhaai
suno jo de sunaai kaisi baaten banaai
are dekho jara bhaai, sab dekho jara bhaai
sach kahne ki saja jahaan ho, wo hain kaisa desh
sach kahne ki saja jahaan ho, wo hain kaisa desh
are rakhwale se rahna dar kar
are rakhwale se rahna dar kar, ye jivan sandesh
de jo andher nagri me acharaj dikhaai
to bhi dekho jara bhaai, sab dekho jara bhaai
pal do pal me palak jhapkte, bitegi ye raat
are pal do pal me palak jhapkte, bitegi ye raat
gajab uljhane gajab adachane layega prbhaat
taa thaiyaa thaiyaa thaiyaa
kal kal bahti, sab kuchh sahti jaaye
nadi bahti jaaye, bahti jaaye
pal pal kahati jaye
nadi bahti jaaye, bahti jaaye
pal pal kahati jaye
he uge re uge re suraj uge re
suraj sukh ka re uge
he uge re uge re suraj uge re
suraj sukh ka re uge
jivo ki do rakt bund se, likhi gayi kahani
dharti ki chhati se dekho, ab futa hain paani
suraj uge re, suraj sukh ka re uge
raja khush hain wo khush hain, to prjaa khush hain
raja khush hain wo khush hain, to prjaa khush hain
khush hain jag ka naath
hilmil ke sab sukhi rahe, ab ek duje ke saath
suraj uge re, suraj sukh ka re uge
uge re uge re suraj uge re
suraj sukh ka re uge