Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon Ghazals

Video of this song from youtube
Average Rating : 4.50
Total Vote(s) : 4
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.


Lyrics of O Desh Se Aane Wale Bataa - ओ देश आने वाले बता
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa
kis haal me hain yaarane vatan
wo baage vatan fir daus vatan
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa

kya ab bhi waha ke baago me
mastana havaaye aati hain
kya ab bhi waha ke parvat par
ghanghor ghataaye chhati hain
kya ba bhi waha ki barkhaye
vaise hi dilo ko bhati hain
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa

wo shahar jo hamse chhuta hain
wo shahar hamara kaisa hain
sab log hame pyaare hain magr
wo jag se pyaara kaisa hain, kaisa hain
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa

kya ab bhi vatan me vaise hi
sarmast najaare hote hain
kya ab bhi suhaani raato me
wo chaand sitare hote hain
ham khel ko khela karte the
ab bhi wo saare hote hain
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa

shab bazm-e-harifaa sajti hain
yaa sham dhale so jaati hain
yaaro ki basar aukaat hain kya
har anjuman nara kaisa hain, kaisa hain
kya ab bhi mahakti mandir se
naapus ki aavaaz aat hain
kya ab bhi mukshad masjid par
mastano jaan tharrati hain
kya ab bhi waha ke panghat par
panhariya paani bharti hain
angdaai ka naksha ban ban kar
sab maathe par gaagar dharti huye
aur apne gharo ko jaate huye
hansti hui chuhle karti hain karti hain
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa

main hairaan lahu ki dhaar hua
bolaana bhi kya gulnaar huaa
kis rang ka hain dariya ae atak
raavi ka kinara kaisa hain, kaisa hain
ae desh aane vaale magar
tumne to na itna bhi puchha
wo kavi jise banvas mila
wo dard ka mara kaisa hain kaisa hain
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa

kya ab bhi kisi ke sine me
baaki hain hamaari chaah bataa
kya yaad hame bhi karta hain
ab yaaro me koi aah bataa
o desh aane waale bataa
o desh aane waale bataa
liliyaah bataa liliyaah bataa
liliyaah bataa liliyaah bataa
lyrics of song O Desh Se Aane Wale Bataa
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Paigham E Mohabbat (2000)
Muzaffar Ali, Nurul Hasan, Ustad Moin Khan, Surjo Bhattacharya, Swati Natekar, Abida Parveen, Chhaya Ganguli, Kavita Krishnamurthy, Sukhwinder SinghFiraq Gorakhpuri, Rahi Masoom Raza, Faiz Ahmed Faiz, Kazi Nazrul Islam, Ibn E Insha, Jigar Moradabadi, Arzoo Lucknawi, Ahmad Faraz, Akhtar Shirani, Moinul Hasan Jazbi, Abdul Hameed Adam, Makhdoom MohiMuzaffar Ali
Popular Links on HindiGeetMala

HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type