o insan bade insan
o insan bade insan
aa tujhe shisha dikhalau, apne ko pehchan
apne ko pehchan, bade insan
o insan bade insan
chand sitare dharti ko tu
kahe hai mata mata
chand sitare dharti ko tu
kahe hai mata mata
samay pade par mata ko bhi
bech ke hai kha jata
dekh jara, pedo ko gyani
dekh jara, pedo ko gyani
janam jaha wo paate hai
khud dharti ko chhanv dekar
dhup me khud jal jaate hai
dhup me khud jal jaate hai
ye hai maa ka maan
ye hai maa ka maan, bade insan
o insan bade insan, o insan
tujhse to dhanwan hai chidiya
tujhse to dhanwan hai chidiya
jo chahe keh jaati hai
dil ki baat tere hotho par
aane se sharmaati hai
duniya bhar ke janwaro ki
duniya bhar ke janwaro ki
ek hi jaisi bhasha hai
tu urdu aur hindi ke
jhagdo me samay ganwata hai
jhagdo me samay ganwata hai
waah mere vidwan
waah mere vidwan, bade insan
o insan bade insan, o insan
maan liya is dharti par
sab aapas me takrate hai
maan liya jungle ke panchi
aapas me lad jate hai
unke rain basere ka
unke rain basere ka
par tinka hil nahi pata hai
aur tu ram rahim se ladkar
ghar ko aag lagata hai
ghar ko aag lagata hai
waah bharat ki shaan
waah bharat ki shaan, bade insan
o insan bade insan
o insan bade insan
Wahbhai bahut hi khoob. Khan Mastana the pioneer had own style.