Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.43 - 144 votes
Raj Kapoor, Nanda, Leela Chitnis, Padmini, Abhi Bhattacharya
Video of this song from youtube
Lyrics of O Shama Mujhe Phunk De - ओ शमा मुझे फूंक दे
o shama mujhe phuk de mai na mai rahu, tu na tu rahe
yahi ishq ka hai dastur, yahi ishq ka hai dastur
parvaane jaa hai ajab chalan yahaan jite ji apna milan
qismat ko nahi manjur, qismat ko nahi manjur

shaam se lekar roz sahar tak tere liye mai har raat jali
shaam se lekar roz sahar tak tere liye mai har raat jali
maine to haay ye bhi na jaana kab din duba kab raat dhali
phir bhi hai milne se majbur, phir bhi hai milne se majbur
o shama mujhe phuk de mai na mai rahu, tu na tu rahe
yahi ishq ka hai dastur, yahi ishq ka hai dastur

patthar dil hai ye jagvaale jaane na koi mere dil ki jalan
patthar dil hai ye jagvaale jaane na koi mere dil ki jalan
jabse hai janmi pyar ki duniya tujhko hai meri mujhe teri lagan
tum bin ye duniya benur, tum bin ye duniya benur
parvaane jaa hai ajab chalan yahaan jite ji apna milan
qismat ko nahi manjur, qismat ko nahi manjur

haay ri qismat adhi qismat dekh saki naa meri-teri khushi
haay ri qismat adhi qismat dekh saki naa meri-teri khushi
haay ri ulfat bebas ulfat ro ke thaki jal-jal ke mari
dil jo mile kiska tha qasur, dil jo mile kiska tha qasur
o shama mujhe phuk de mai na mai rahu, tu na tu rahe
yahi ishq ka hai dastur, yahi ishq ka hai dastur
parvaane jaa hai ajab chalan yahaan jite ji apna milan
qismat ko nahi manjur, qismat ko nahi manjur
lyrics of song O Shama Mujhe Phunk De
Comments on song "O Shama Mujhe Phunk De"
Indu Puri on Wednesday, December 12, 2012
parwana bnkr shma ke charon or mndrana aur ye kahanaa ki e shma mujhe foonk
de.' bda marmik. aur tdp uthti hun jb shma ka jwab sunti hun
-----sham se lekr roj sahar tk tere liye hr raat jli,maine ye bhi n jana kb
din dooba kb raat dhli...' oh! jaise shma ka sara drd mujh me samaa
jata hai.slam tumhe..is geet ko aur.iske rchnakaron
ko..beshk ..'ptthr dil hai ye jg wale ..tujh
bin ye duniya benoor..ohhhhhhh
gopal sinha on Thursday, March 20, 2014
पद्मिनी कला और सौंदर्य की प्रतिमूर्ति थीं..राज कपूर एक संस्था थे..हिंदी
फिल्म-संगीत में शैलेंद्र, हसरत, शंकर- जयकिसन का योगदान अविस्मरणीय है...महान
लता और मुकेश द्वारा गाया गया एक अत्यंत मधुर गाना.!
t k mukherjee on Saturday, October 02, 2010
I have been a fan of hindi film music for over 55 years.This is Mukesh-Lata
-SJ at their best. Mukeshji - tujh bin ye duniya benoor ,indeed. Thanks
Ajay for uploading. 2nd october,2010
Indu Puri on Wednesday, December 12, 2012
sun rhi hun khoobsurat set..khoobsurat padmini ke sath is khoobsurat
gane ko.lo tum bhi suno isi film ka yh gana jo meri rooh me
basataa hai
muhammad akram Nadeem on Saturday, June 27, 2015
O shama mujhe phoonk de-A hert touching and moving melody with a sweat
theme composition sung by lata and mukesh ji.muhammad akram nadee m.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Aashiq (1962)
Raj Kapoor, Padmini, Nanda, Mukri, Johny Walker, Keshto Mukherjee, Raj Mehra, Abhi Bhattacharya, Leela ChitnisLata Mangeshkar, MukeshHasrat Jaipuri, ShailendraShankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai PankalHrishikesh MukherjeeAashiq at IMDB      Aashiq at WikipediaAashiq at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type