o varsha ke pahle baadal
mera sandesha le jana
o varsha ke pahle baadal
mera sandesha le jana
asuvan ki bundan barsa kar
asuvan ki bundan barsa kar
alka nagri me tum jakar
khabar meri pahuchana
o varsha ke pahle baadal
mera sandesha le jana
maal bhumi aur amarkut se
vindhyachal narmda ko jana
vidisha nagri aur setuhak hokar aage paanv badhana
aag virah ki jaha bhi pana
aag virah ki jaha bhi pana
baras baras kar use bujhana
o varsha ke pahle baadal
mera sandesha le jana
dekh andhera
dekh andhera piya milan ko chalegi chhup kar koi gauri
pag me tum bijli chamka kar khol na dena
khol na dena, khol na dena uski chori
virhan ko tum jaha bhi pana, use kahin na jalana
o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana
ujjaini me mahakaal ka mandir jab tum paao
pujarino ka naach dekh kar
pujarino ka naach dekh kar apna man bahlao
par tum unke ang dhang ko dekh atak na jaao
par tum unke ang dhang ko dekh atak na jaao
shimla me na chambal me na kurushetra me rukna
jungle me na ganga ki lahro ko jo man jhukna
atal himalay pe chadhke phir yu mudna kailash ki or
jyu chanda ko dekh pyare
gagan ko jhume aaye chakor
alka me phir dhundh use tum
mera sadesha sunana
o varsha ke pahle baadal
mera sandesha le jana
Thank you so much Mukhtar ji,this is another song that I wanted to upload in Facebook but I forgot my own name there:)
This clip,like all your masterpieces, is a stunning visual poem,so illustrative that this timeless song will be understood and appreciated by people all over the world.I need to see all of your super editions and improvements of the originals.
This is not flattery ,what could I win with it?Just an opinion(of a fan:)