oh dharti ki beti sun
nain me tere neer hai
or prano me peer hai
oh dharti ki beti
teri bhi kya takdir hai
oh dharti ki beti
teri bhi kya takdir hai
jaalim duniya tera
dukhda kya jaane
tere dil ka dard
koi kya pehchane
tu ek jakhmi ghayal
chalti firti takdeer hai
oh dharti ki beti
teri bhi kya takdir hai
teri bhi kya takdir hai
teri bhi kya takdir hai
ek dukhiya nari ka dekho
hathi bana hai bhai
dekho re duniya walo
bhagwan ki ye chaturayi
ke dekho hathi bana hai bhai
pati se thukrayi abla ka
man tha jab ghabraya
jungle ka gajraj
ek dukhiya ki madad ko aaya
sidhe sadhe hastiraz
me jaagi mamta maya
man ke sahayak
ek behn par usne pyar lootaya
phir kuch socha hathi ne
phir kuch socha hathi ne
or man hi man muskaya
bhaari bharkam soond me
bharkar ghaspus wo laya
phir wo pakkad gajraya
jungle se lakkad laya
behna ke rehne ko usne
chota sa ghar banwaya
ek dukhiya nari ka dekho
hathi bana hai bhai
dekho re duniya walo
bhagwan ki ye chaturayi
ke dekho hathi bana hai bhai
jab di behna ne roti
toh kah gayi kaya moti
ek bhole bhale prani
ki dekho re prem sagai
ek dukhiya nari ka dekho
hathi bana hai bhai