o husn wafa ke diwano
o hansne walo mastano
jis dil ko kisi ne lut liya
tum uski haqiqat kya jano
main lute huye pyar ki kahani
sunane aaya hu
main lute huye pyar ki kahani
sunane aaya hu
koi dekh sake to zakhm-e-dil
koi dekh sake to zakhm-e-dil
dikhane aaya hu
main lute huye pyar ki kahani
sunane aaya hu
main ruthe huye yaar ko manane
manane aayi hu
main ruthe huye yaar ko manane
manane aayi hu
sar apna wafa ke kadmo me
sar apna wafa ke kadmo me
jhukane aayi hu
main ruthe huye yaar ko manane
manane aayi hu
ehsas ka jinme naam nahi
wo pyar ki baate karte hai
marham ke bahane zakhmo me
din raat namak hi bharte hai
tumhe aise hi ek kaatil se
tumhe aise hi ek kaatil se
milane aaya hu
main lute huye pyar ki kahani
sunane aaya hu
jo dil me guma hai dur karo
ab teer na maaro baato ke
kacche hi sahi sacche hai magar
ye dhage pyar ke naato ke
badi dur rahi ab dur kahi
badi dur rahi ab dur kahi
na jane aayi hu
main ruthe huye yaar ko manane
manane aayi hu
gairo se shikayat kya kije
apno se shikayat hoti hai
jab meet hi dushman ban jaye
us waqt kayamat hoti hai
jo meri tarah lutte ho unhe
jo meri tarah lutte ho unhe
bachane aaya hu
main lute huye pyar ki kahani
sunane aaya hu
insan farishta ho na saka
insa se khataye hoti hai
ye preet ka bandhan mat todo
de do jo sazaye hoti hai
jo daag diye unhe ashqo se
jo daag diye unhe ashqo se
mitane aayi hu
main ruthe huye yaar ko manane
manane aayi hu
main lute huye pyar ki kahani
sunane aaya hu
main ruthe huye yaar ko manane
manane aayi hu