koun hai jisne may nahi pi hai
koun jhuthi kasam uthata hai
maykade se jo bach nikalta hai
teri aankho me doob jata hai
jab ghir ke aayi kaali ghata
rindo ne kaha jee bhar ke pila
inkaar kiya jab saaqi ne
paimaane tut gaye paimaane tut gaye
jab ghir ke aayi kaali ghata
rindo ne kaha jee bhar ke pila
inkaar kiya jab saaqi ne
paimaane tut gaye paimaane tut gaye
jab aaye sharaabi masti me
sab doob gaye yun masti me
hangama hua ek hasti me
hangama hua ek hasti me
log aaye jab maykhane tak
paimaane tut gaye paimaane tut gaye
saaqi ki naqaab ulat te hi
kimat naa rahi paimaane ki
rounak hi gayi maykhane ki
rounak hi gayi maykhane ki
sab pine lage jab aankho se
paimaane tut gaye paimaane tut gaye
saaqi ki nazar jab tang huyi
sheesho ki kismat sang huyi
yun saari faza be rang huyi
yun saari faza be rang huyi
maykhane me aisi jang huyi
paimaane tut gaye paimaane tut gaye
jab ghir ke aayi kaali ghata
rindo ne kaha jee bhar ke pila
inkaar kiya jab saaqi ne
paimaane tut gaye paimaane tut gaye
paimaane tut gaye paimaane tut gaye