Lyrics of Paise Ke Kya Kehne Ho Paisa Peer Hai - पैसे के क्या कहने हो पैसा पीर हैं
paise ke kya kehne ho paisa peer hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
paise ke kya kehne ho paisa peer hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
jisko chahe izzat dekar
duniya ka sartaj kare
jisko chahe zilat dekar
roti se mohtaj kare
ho roti se mohtaj kare
hath me iske do dhari shamshir hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
paise ke kya kehne ho paisa peer hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
aaj aaye kal jaye phir bhi
log isi ko pyar kare
iski khatir jan ladaye
ek duje pe war kare
ho ek duje pe war kare
ye ek chalti phirti si taqdeer hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
paise ke kya kehne ho paisa peer hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
har mushkil hai aasa uski
jiske palle paisa hai
anhoni ko honi karde
zor isme aisa hai
ab zor isme aisa hai
jiski chan chan chan me wo taasir hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
paise ke kya kehne ho paisa peer hai
ye jiska ban jaye wo taqdeer hai
Achanak ye gana aaj yaad aa gaya, socha dekhun kahin is ka namo nishan hai
ki nahin, lekin gazab hai aap ne to original clip ke saath ise load kar
rakha hai. meine ye film bachpan mein dekhi thi.aaj shayad 55 saal baad ye
gana sun raha hoon.