pal ek pal mein hi tham sa gaya
tu haath mein haath jo de gaya
chalun main jahan jaye tu
dayein main tere, baayein tu
hun rut main, hawayein tu saathiya
hansu main jab gaaye tu
roun main murjhaye tu
bhigun main barsaye tu saathiya
saaya mera hai teri shakal
haal hai aisa kuch aajkal
subah main hun tu dhoop hai
main aaina hun tu roop hai
yeh tera saath khoob hai humsafar
tu ishq ke saare rang de gaya
phir khinch ke apne sang le gaya
kahin pe kho jaaye jo
jahan ruk jaaye pal
kabhi naa phir aaye kal saathiya
ek maange agar sau khwaab du
tu rahe khush, main aabad hu
tu sabse juda juda sa hai
tu apni tarah tarah sa hai
mujhe lagta nahi hai tu dusra
pal ek pal mein hi tham sa gaya
tu haath mein haath jo de gaya
chalun main jahaan jaaye tu
dayein main tere, baayein tu
hun rut main, hawayein tu saathiya
hansu main jab gaaye tu
roun main murjhaye tu
bhigun main barsaaye tu saathiya ho