pal pal hai bhaari woh bipta hai aayi
mohe bachaane ab aao raghuraayi
aao raghuveer aao, raghupati raam aao
more mann ke swaami, more shriraam aao
raam-raam japti hoon, sun lo meri raam aao
raam-raam japti hoon, sun lo meri raam ji
baje satya ka danka, jale paap ki lanka
issi shan tum aao, mukt karaao
sun bhi lo ab meri duhaai
pal pal hai bhaari woh bipta hai aayi
mohe bachaane ab aao raghuraayi
raam ko bhoolo ye dekho raavan aaya hai
phaili saari shristi par jiski chhaaya hai
kyu japti ho raam-raam tum kyu leti ho raam naam tum
raam-raam ka ratan jo tumne hai lagaaya
sita, sita tumne hai raam me aisa kya gun paaya
dil paayega unke gun ko ye kya, itne shabd hi kaha hai
pahonchega us shikhari ke kaun bhala mere raam ji jaha hai
jag me sabse uttam hai, mariyaada purushottam hai
sab se shaktishaali hai, phir bhi rakhte sayam hai par
unke sayam ki ab aane ko hai seema
raavan samay hai maang le kshama
baje satya ka danka, jale paap ki lanka
aaye raaja raam kare ham pranaam
sang laaye lakshman jaisa bhaai
pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
mohe bachaane ab aao raghuraayi
raam me shakti agar hai, raam me saahas hai jo
kyun hain aaye abhi tak woh tumhaari rakhsha ko
jinka varnan karne me thakti nahi ho tum yaha
ye bataao woh tumhaare raam hai is pal kaha
raam hriday hai me mere, raam bhi dhadhkan me hai
raam mere aatma me, raam hi jeevan me hai
raam har pal me hai mere, raam hai har swaas me
raam har aasha me meri, raam hi har aas me
raam hi toh karuna me hai, shaanti me raam hai
raam hi hai ekta me, pragati me raam hai
raam bas bhakto nahi shatru ke bhi chintan hai
dekh taj ke paap raavan, raam tere mann me hai
raam tere mann me hai, raam mere mann me hai
raam tere mann me hai, raam mere mann me hai
raam toh ghar ghar me har, raam har aangan me hai
mann se raavan jo nikaale, raam uske mann me hai
mann se raavan jo nikaale, raam uske mann me hai
pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
mohe bachaane ab aao raghuraayi
suno raamji aaye, gun raam ke gaaye
raaja raamchandra aaye, shri raamchandra aaye
raamji aaye, gun raam ke gaaye
shri raamchandra aaye ho
suno raamji aaye, gun raam ke gaaye
raaja raamchandra aaye, shri raamchandra aaye
raamji aaye, gun raam ke gaaye
shri raamchandra aaye ho
This is my one of favourite songs.. Everything words has deep meaning.. Best part is synchorinization between words and action..
Making me nostalgic--I remember Ram Lila of my home town..It is years since i haven't seen that.