Lyrics of Panchhi Meri Khushi Ka Jamana Kaha Gaya - पंछी मेरी खुशी का ज़माना कहाँ गया
panchhi meri khushi kaa jamana kaha gaya
jamana kaha gaya
panchhi meri khushi kaa jamana kaha gaya
jamana kaha gaya
aankho ne jo likha wo fasana kaha gaya
fasana kaha gaya
ab unko ruthne ki jarurat bhi pad gayi
ab unko ruthne ki jarurat bhi pad gayi
wo mere ruthne ka bahana kaha gaya
bahana kaha gaya
wo mere ruthne ka bahana kaha gaya
bahana kaha gaya
mai dil se puchhti hu kaha hai mera suhaag
kaha hai mera suhaag
mai dil se puchhti hu kaha hai mera suhaag
kaha hai mera suhaag
dil mujh se puchhta hai divana kaha gaya
divana kaha gaya
dil mujh se puchhta hai divana kaha gaya
divana kaha gaya
tu meri kaid me hai to mai gum ki kaid me
mai gum ki kaid me
tu meri kaid me hai to mai gum ki kaid me
mai gum ki kaid me
wo tera geet mera tarana kaha gaya
tarana kaha gaya
panchhi meri khushi kaa jamana kaha gaya
jamana kaha gaya
Chand {26th May 1944}: Prem Adib, Introducing Begum Para, Sitara Devi
Kanpuri, Also Introducing Sapru as Begum Para's rich Father, Ram Singh,
Shashikala, Balakram, Beena Paul, Rane, Ganpatrao, Manajirao, Thakar,
Karhadkar, Bhide, Vatsala, Shaikh; Lyricist: Qamar Jalalabadi; Music
Director: Husnlal Bhagatram; Singers: G.M.Durrani, Zeenat Begum, Sitara
Devi, Manju,; Producer: Prabhat Pictures / G.B.Ghanekar; Director:
D.D.Kashyap