panchhi gane lage prbhati aaya sars savera 
jaag sundri madhur milan ka aaya hai din tera 
suraj ne tere aangan me so naaz basera chun chun 
kaliya haar banale naam amar ho tera 
saz solah shreengar saz solah shreengar sohagan 
chali piya ke dware chali piya ke dware 
saz solah shreengar sohagan 
chali piya ke dware chali piya ke dware 
saza liye apne se tune saza liye apne se tune 
kanchan kiran sitar ho kanchan kiran sitar
laga liya chanda ka tika aur ghata ka kajal 
laga liya chanda ka tika aur ghata ka kajal 
pehan chali bijli ke gehne aur lehrti payal 
pehan chali bijli ke gehne aur lehrti payal 
koyal kuhuk rahi punjo me koyal kuhuk rahi punjo me 
saz solah shreengar saz solah shreengar sohagan 
chali piya ke dware chali piya ke dware 
hirni si man harni naari dwar piya ke aayi 
gunj rahi hai uske man me sapno ke sehnayi 
aayi hai wo paas piya ke aayi hai wo paas piya ke 
sundar haar sawar ho sundar haar sawar 
saz solah shreengar saz solah shreengar sohagan 
chali piya ke dware chali piya ke dware 
aayi akar khadi ho gayi ye kaisi hai lila 
kahan gaye kahan gaye naino ke wasi tuta sowpn sajina 
wohi lata hai wohi jhadiya aur wahi hariyali 
sehme sehme se patte hai nahi bajate taali 
chhut gayi lat tut gayi sundar sapno ki dori 
chand sitar badli me jakar ro ro mari sapori 
kabhi nachti thi dulhan si agni kund ki jwala 
aaj chita ban gayi preet ki tuti kar ki mala 
tuti kar ki mala 
