parvato pe chhayi ghataye tujhko hi bulaye
ye hawaye ye fizaye nagma tera gaaye
parvato pe chhayi ghataye tujhko hi bulaye
ye hawaye ye fizaye nagma tera gaaye
aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
tune jo mujhko bulaya main nahi ruk paya
chir ke sina parvato ka main to chala aaya
tune jo mujhko bulaya main nahi ruk paya
chir ke sina parvato ka main to chala aaya
aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
ho aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
hum na irade badlenge sathi
badlegi duniya badlega mausam
hum na irade badlenge sathi
badlegi duniya badlega mausam
saanso me meri bajti rahegi
sari umar teri saanso ki sargam
ab to kahin mujhko karar nahi hai
jo na kare pagal wo pyar nahi hai
tune mujhe jane kaisa dard diya
aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
ho aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
ab sath tere chalna hai mujhko
tu mera rasta tu meri manzil
ab sath tere chalna hai mujhko
tu mera rasta tu meri manzil
ye zindagi hai teri amanat
tere bina ab jeena hai mushkil
milke mere sathi vada ye karenge
sath jeeyenge ab to sath marenge
tune chori chori mera chain liya
aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
o aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
parvato pe chhayi ghataye tujhko hi bulaye
ye hawaye ye fizaye nagma tera gaaye
aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya
o aaja aaja mere sathiya
dil ne tujhe yaad kiya