patit pawan ganga shankar bhagwan ki
jatao se awtarit pavitar ganga
bharat ki pawan bhumi pe bahti hui
jakar sagar se milti hia
wahi milan hai sagar sangum
aur usi sangum ke kinare hai
bharat ka wo punay tirth ganga sagar
gnga sagar par lagne wale mele me
des ke har kone se aate hai
sadhu sant mahatma grahasth
aur sath sath aate hai papi chor
badmash or pakhandi bhi
jish dharti par hamare sagar sangam ki
kahani janaam leti hai wo gav hai devipur
jo gangha ko nahi ghodavari tat par
basa hua hai aur is devipur gav mai bhi
ek sangam awasar aata hai jisme papi badmash
pakhandi bhi pahochte hai aur sant mahatma bhi
khun ke rakshak bhi kanun se duniya ko lutane wale
aur phir umadata ghatana aur bhawanao ka sagar
jisaki lahere bandh deti hai
kisiko jajbat ke bandhan main
kisiko pyar mamta ke bandhan main
aur yahi anokha sangam hamari kahani hai
sagar sangam yaha sagar sangam yaha
sagar sangam yaha