meri sakhiyo ek git suno sunogi han sunege
payal ne lehnge se kaha main to tujhse achhi hun
ki pair ki rani banti hun chhan chhan karti chalti hun
dil khol ke main to machalti hun
haye dil khol ke main to machalti hun
lehnga payal se bola bolu kya bola
are bolo kya bola are bolo kya bola
lehnga payal se bola teri to okat hai kya
main jis ki kamar pe bandhata hun
uska malik ban jata hun uski daulat hai mere liye
uska khajana mere liye lehnga payal se bola
lehnga payal se bola
angiya lehnge pe bigadi angiya lehnge pe bigadi
bolo kya boli are bolo kya boli
angiya lehnge pe bigadi khamos rahe to behatar hai
warana sab kuch batla dungi
din ko thirakta rahta hai rat ko thak kar sota hai
angiya lehnge pe bigadi angiya lehnge pe bigadi
nath chilaai angiya par nath chilaai angiya par
bolo kya boli are bolo na kya boli
nath chilaai angiya par tu kyu itarati hai angiya
kya teri syamat aai hai jo mujhse tu takarai hai
jab sajni javan ho jati hai to tu bhi rava ho jati hai
har chhai mahine ke andar tu to badali jati hai
main naak pe uski sajati hun har wakt chamkti rahti hun
sajan sajni ko chume hai to pahle mujhse khele hai
jab meri ijajat pave hai sajani ko jhat pat chume hai
payal ne lehnge se kaha payal ne lehnge se kaha
main to tujhse achhi hun main to tujhse achhi hun
lehnga payal se bola lehnga payal se bola
teri to okat hai kya teri to okat hai kya
angiya lehnge pe bigadi angiya lehnge pe bigadi
khamosh rahe to behatar hai khamosh rahe to behatar hai
nath chilai angiya par nath chilai angiya par
kya teri syamat aai hai kya teri syamat aai hai
payal ne lehnge se kaha payal ne lehnge se kaha
main to tujhse achhi hun main to tujhse achhi hun
lehnga payal se bola lehnga payal se bola
teri to okat hai kya teri to okat hai kya