pehle ke jaisa kuchh bhi nahi hai
din raat aankhon me ik nami hai
pehle ke jaisa kucch bhi nahi hai
din raat aankhon me ik nami hai
pehle ke jaise mausam nahi hai
badal to hai par barish nahi hai
is mod pe aagaye hum batao
rahe to hai humsafar hi nahi hai
aao chale hum phir se wahan pe
jahan pe kabhi khushbuon se miley the
shayad wahin pe kahi kuch bacha ho
jahan pe kabhi sath hum tum chale the
jisey kho diya hai khatam ho gaya hai
us pyar ko zindagi denge phir se
qismat hume leke aayi kahan pe
samay chal raha hai magar hum ruke hai
mere khwab sab aakhiri sans leke
gehraiyo me dafan ho chuke hai
na awaaz koi hai hum tak pahuchti
badi door khud se hum jaa chuke hai
rishton me khamoshiyan aa gayi hai
sine me bhi dhadkano ki kami hai
pehle ke jaise mere paas aao
zarurat hai humko gale se lagao
nahi raas aate hai humko andhere
chalo chhin laye phir wo savere
chalo chhin laye phir wo savere