phir teri yaad naye deep jalane aayi
phir teri yaad naye deep jalane aayi
meri duniya se andhero ko mitane aayi
phir teri yaad naye deep jalane aayi
phir teri yaad naye deep jalane aayi
na ab koi dard na ab dard ka ahsas raha
na ab koi dard na ab dard ka ahsas raha
yu luta hu mai ke kuch
bhi na mere pass raha
meri barbadi pe meri barbadi pe
ye aashk bahane aayi
phir teri yaad naye deep
jalane aayi phir teri yaad
in bujhi aankho ke har khawab ki tabir jali
in bujhi aankho ke har khawab ki tabir jali
jal utha mai jo mere pyar ki tahrir jali
mere daman me mere daman me
lagi aag bujhane aayi
phir teri yaad naye deep jalane aayi
meri duniya se andhero ko mitane aayi
phir teri yaad naye deep
jalane aayi phir teri yaad
sog me dubi hui lagti hai khamosh faza
sog me dubi hui lagti hai khamosh faza
itna tanha itna tanha
main kisi sham kisi raat na tha
meri tanhaayi ko
meri tanhaayi ko sine se lagane aayi
phir teri yaad naye deep jalane aayi
meri duniya se andhero ko mitane aayi
phir teri yaad naye deep
jalane aayi phir teri yaad
Wah wah wah, kya baat hai. Great composition too.